12Jan/080
Hindi Birthday SMS Messages
- Phoolon ne Amrit ka jaam bheja hai,
Sooraj ne gagan se Salam bheja hai,Mubarak ho Aapko Naya Janam Din,
Tahe-Dil se Humne ye Paigaam bheja hai ! - Tumhari is ada ka kya jawad du,
apne dost ko kya uphar du,
koi accha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…HAPPY BIRTHDAY My love. - Apun wishing you a wonderful, super duper, zabardast,
extra bariya, extra special ekdum mast n dhinchak bole to
ekdum jhakaas, JANAM DIN mubarak ho.. - Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai ki waqt
bhi ek din aapka gulam hoga.
Happy Birthday - ye be khudi ye laboon ki hansi mubarik ho
tumhein ye saalgirah ki khushi mubarik ho
kabhi na aaye koi ghum qareeb tumhaare
jahaan mein sab se ache hoon naseeb tumhare
khaloos , pyar bhari dosti mubarik ho
tumhein ye saalgirah ki khushi mubarik hoo - Kay Teray Janam Din par
Khuda Paak!
Tujhay who sub kuch Ata karay
Jis ki Tammanna Teray Dil nay Ki,
Har who Khuahish jo teray labon par
Machalti ho
Poori Ho!
Aur teri yeh Roshan Ankhain Sada Chamkain
Teri MAsoom muskurahat
Sada teray labon ka Mehwar ho
Khushiyun say tera daman Hameesha Bhara rahay
Aur Khuda Paak!
Teri Umer Daraz Karain
Ameen - Jangal me mangal tere hi dam se
Sab ne yeh shor machaya hai
Salgirah ka din aaya hai
Happy Birthday to you meri Jaan - Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din aapko apne hatho se banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din aapko yahan bhej ker, khud ko akela paya hoga - Flying papers,
multi colours of balloon,
delicated blossom,
fantastic people,
love and laughter.
What it describes? HAPPY BIRTHDAY. - Happy birthday 2 u, happy birthday 2 u! u were born in d zoo’ u were born in d zoo’ with d monkeys ‘n donkeys dats looks just like u!